Saturday, 8 September 2012

Best Urdu Gazals Collection

Ab to mumkin he nahi un se mulaqat Wasi

Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi

wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi

Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi

Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum

Ab miltey nahi dono ke khayalaat Wasi



---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 





tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai

mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai

wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal
wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai

‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije
wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai






---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 





Khamosh ho kyun, daad-e-wafa kyun nahi detay
Bismil ho to kaatil ko duwa kyun nahi detay

Vahaashat ka sabab ruuzan-e-zindaan to nahi hai
Mahar-o-maah-o-Anjum ko bujha kyun nahi detay

Ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ay chaaragaaro dard barha kyun nahi detay

Munsif ho agar tum to kub insaaf karoge
Mujrim hai agar hum to sazza kyun nahi dete

Rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhi
Rahabar ho to manzil ka pataa kyuun nahi dete

Kya beet gai ab ke Faraz ahal-e-chaman par
Yaaran-e-qafas mujhko sada kyun nahi dete





----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------





silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate
warna itne to marasim the k aate jaate

shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jaate

kitna asaan tha tere hizar mein marna jaana
fir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate

jashan-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi
paab-zoolan hi sahi naachte gaate jaate

uski woh jaane use paas-e-wafa tha k na tha
tum Faraz apni taraf se to nibhaate jaate








---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 





WOh Bekhabar Hai Bakhabar Kabhi Nahin hota….
Hamari Baat Ka Jis Par Asar Nahin Hota…

Charagh-e-Hijar Musalsal Jalaye Bethay Hain……
Kabhi Hawa Ka Udhar Se guzar Nahin Hota…

Khud Apne Wastey Jeena Bhi Koi Jeena Hai….
Safar Yeh HAyat Ka kion Mukhtasar Nahin Hota…

Khud apne Dais Ki Matti Mera Tashakhus Hai…
Diyar-e-Gair Ka Ghar Apna Ghar Nahin hota…

payal Yeh Ishq Ki Soghat Bhi Ajab Shai Hai…..
Yeh Woh Shajar Hai Jis Ka Samar Nahin Hota… — ♥



---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- 







Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra...
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra...

Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela...
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra...

Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain...
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra...

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta...
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra...

Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho...
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra...

Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per...
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai...

To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra...

Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna...
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra...

No comments:

Post a Comment